Zuban ko hukm hi kahan ke dastan e gham kahen Ada ada se tum kaho nazar nazar se hum kahen



زباں کو حکم ہی کہاں کہ داستانِ غم کہیں
ادا ادا سے تم کہو، نظر نظر سے ہم کہیں
Zuban ko hukm hi kahan ke dastan e gham kahen
Ada ada se tum kaho nazar nazar se hum kahen

 
سبو ہو میرے ہاتھ میں تو کاسۂ گداگری
جو تم اٹھا لو جام، لوگ جامِ جم کہیں
Subu ho mere hath mein to kasa e gadagari
Jo tum utha lo jaam, loag jaam e jam kahen

 
شمیمؔ وہ نہ ساتھ دیں تو مجھ سے طے نہ ہو سکیں
یہ زندگی کے راستے کہ زلفِ خم بہ خم کہیں
Shamim wo na sath den to mujh se tai na ho saken
Ye zindagi ke raaste ke zulf e kham ba kham kahen

 
شمیمؔ کرہانی
Shamim Kirhani


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha