Jane Woh Ik Wisal La Lamha Jedhar Gaya Ab Mujh Peh Intezar Ka Mousam Thehar Gaya



جانے وہ اک وصال کا لمحہ کدھر گیا
اب مجھ پہ انتظار کا موسم ٹھہر گیا
Jane Woh Ik Wisal La Lamha Jedhar Gaya
Ab Mujh Peh Intezar Ka Mousam Thehar Gaya

 
شامِ وصال اشکِ مسرت کے فیض سے
داغِ جگر بھی دھل گیا، دل بھی سنور گیا
Sham e Wisal Ashk e Musarrat Ke Faiz Se
Dagh e Jigar Bhi Dhul Gaya , Dil Bhi Sanwar Gaya

 
اس کا نصیب آبلہ پائی ہے عمر بھر
کھویا جو دشتِ عشق میں، مشکل ہی گھر گیا
Uska Naseeb Aabla Paai Hai Umar Bhar
Khoya Jo Dasht e Ishq Mein , Mushkil Hi Ghar Gaya

 
جُز بندئ حیات کا حاصل ہے اک یہی
حالت سنبھل گئی ہے سراپا بکھر گیا
Juz Bandi e Hayat Ka Hasil Hai Ik Yahi
Halat Sanbhal Gai Hai Sarapa Bikhar Gaya

 
منزل کا ہے سراغ، نہ رستوں کی کچھ خبر
یوں رائیگاں حیات کا سارا سفر گیا
Manzil Ka Hai Suragh , Na Raston Ki Kuch Khabar
Yun Raigan Hayat Ka Sara Safar Gaya

 
شگفتہ نعیم ہاشمی
Shagufta Naeem Hashmi


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha