Bichhre to qurbaton ki dua bhi na kar sake Ab ke tujhe supurd e Khuda bhi na kar sake
بچھڑے تو قربتوں کی دعا بھی نہ کر سکے
اب کے تجھے سپردِ خدا بھی نہ کر سکے
Bichhre to qurbaton ki dua bhi na kar sake
Ab ke tujhe supurd e Khuda bhi na kar sake
تقسیم ہو کے رہ گئے صد کرچیوں میں ہم
نامِ وفا کا قرض ادا بھی نہ کر سکے
Taqseem ho ke reh gaye sad kirchiyon mein hum
Naam e wafa ka qarz ada bhi na kar sake
نازک مزاج لوگ تھے ہم جیسے آئینہ
ٹوٹے کچھ اس طرح کہ صدا بھی نہ کر سکے
Nazuk mizaj loag thay hum jaise aiyna
Toote kuch is tarah ke sadaa bhi na kar sake
خوش بھی نہ رکھ سکے تجھے ہم اپنی چاہ میں
اچھی طرح سے تجھ کو خفا بھی نہ کر سکے
Khush bhi na rakh sake tujhe hum apni chah mein
Achi tarah se tujh ko khafa bhi na kar sake
ایسا سلوک کر کہ تماشائی ہنس پڑیں
کوئی گلہ گذار گلہ بھی نہ کر سکے
Aisa sulook kar ke tamashaiy hans paren
Koi gila guzaar gila bhi na kar sake
ہم منتظر رہے کوئی مشقِ ستم تو ہو
تم مصلحت شناس، جفا بھی نہ کر سکے
Hum muntazir rahe, koi mashq e sitam to ho
Tum maslihat shanas jafa bhi na kar sake
Comments
Post a Comment