Dard musafir thehr gaya tha akhhiyon ki hairani mein Sirf muhabbat behti thi aur sath ye ashk ravani mein
درد مسافر ٹھہر گیا تھا اکھیوں کی حیرانی میں
صرف محبت بہتی تھی اور ساتھ یہ اشک روانی میں
Dard musafir thehr gaya tha akhhiyon ki hairani mein
Sirf muhabbat behti thi aur sath ye ashk ravani mein
کیسے ہوا اور کب یہ ہوا، کچھ خبر نہیں تھی دل کو تو
ایک محبت جا سوئی تھی وحشت میں ویرانی میں
Kaise hua aur kab ye hua, kuch khabar nahi thi dil ko to
Aik muhabbat ja soi thi wehshat mein veerani mein
درد کی شدت اور بڑھی تھی شہرِ وفا کی شاموں میں
اور ویرانی بیٹھ گئی تھی ان اکھیوں کے پانی میں
Dard ki shiddat aur barhi thi shehr e wafa ki shamon mein
Aur veerani baith gaiy thi in akhhiyon ke pani mein
اس ہستی کے اندھیاروں نے بخت کو ایسے گھیرا تھا
اپنی صدا تک اجڑ گئی تھی دل کی نوحہ خوانی میں
Is hasti ke andhiyaron ne bakht ko aise ghhera tha
Apni sadaa tak ujar gaiy thi dil ki noha khwani mein
ایک سخنور کے لفظوں نے مجھ کو یوں برباد کیا
لطف سماعت کو ملتا ہے اب تو زہر افشانی میں
Aik sukhanwar ke lafzon mujh ko youn barbad kiya
Lutf sama’at ko milta hai ab to zehr afshani mein
نجمہ شاہین کھوسہ
Najmi Shaheen Khosa
Comments
Post a Comment