Dil ke daghon mein sitaron ki chamak baqi hai Shab e furqat abhi do char palak baqi hai



دل کے داغوں میں ستاروں کی چمک باقی ہے
شب فرقت ابھی دو چار پلک باقی ہے
Dil ke daghon mein sitaron ki chamak baqi hai
Shab e furqat abhi do char palak baqi hai

 
سرخ ہونٹوں کے دیئے ذہن میں روشن ہیں ابھی
ابھی افکار میں زلفوں کی مہک باقی ہے
Surkh honton ke diye zehn mein raushan hain abhi
Abhi afkar mein zulfon ki mehak baqi hai

 
بازوؤں میں ترے پیکر کی لطافت رقصاں
انگلیوں میں تری بانہوں کی لچک باقی ہے
Bazuon mein tere paiker ki latafat raqsan
Ungliyon mein teri banhon ki lachak baqi hai

 
قصر پرویز میں گم ہو گئی شیریں کی صدا
دامن کوہ میں تیشے کی دھمک باقی ہے
Qasr e Parvez mein gum ho gaiy Sheereen ke sadaa
Daman e koah mein teshe ki dhamak baqi hai


صرصر‌ جور نے ہرچند خزاں بکھرائی
پھول میں آگ، شگوفوں میں لہک باقی ہے
Sarsar e jor ne harchand khizan bikhhraiy
Phool mein aag, shagoofon mein lehek baqi hai


گل کھلائے گی ابھی اور نجانے کیا کیا
یہ جو پہلو میں مہکتی سی کسک باقی ہے
Gul khhilaye gi abhi aur najane kia kia
Ye jo pehlu mein mehakti si kasak baqi hai

 
نور بجنوری
Noor Bijnori


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha