Hadisa hone lagen to hum dua ko dhoondte hain Maslakon ki qaid mein reh kar Khuda ko dhoondte hain



حادثے ہونے لگیں تو ہم دعا کو ڈھونڈتے ہیں
مسلکوں کی قید میں رہ کر خدا کو ڈھونڈھتے ہیں
Hadisa hone lagen to hum dua ko dhoondte hain
Maslakon ki qaid mein reh kar Khuda ko dhoondte hain


نوچتے ہیں ہم بدن سے خود قبائے زندگانی
اور پھر ہم گمشدہ اپنی ردا کو ڈھونڈتے ہیں
Nochte hain hum badan se khud qaba e zindagani
Aur phir hum gumshudah apni rida ko dhoondte hain


ہم فضا میں گھولتے ہیں زہر خود سوچوں کا اپنی
سانس لینے کے لیے پھر خود ہوا کو ڈھونڈتے ہیں
Hum fiza mein ghholte hain zehr khud sochon ka apni
Sans lene ke liye phir khud hawa ko dhoondte hain


مصلحت کی بادبانی کشتیوں میں بیٹھ کر ہم
عشق کے گہرے سمندر میں وفا کو ڈھونڈتے ہیں
Maslihat ki badbani kishtiyon mein baith kar hum
Ishq ke gehre samundar mein wafa ko dhoondte hain


وقت کی بھیگی ہوا میں ساحلوں کی ریت پر اب
عمر رفتہ کے _ بکھرتے نقش پا کو ڈھونڈتے ہیں
Waqt ki bheegi hawa mein sahilon ki ret par ab
Umr e rafta ke bikhharte naqsh e pa ko dhoondte hain


کاسۂ دل کی کھنکتی خواہشوں کے شور و غل میں
آسمانوں سے اترتی اک صدا کو ڈھونڈھتے ہیں
Kasa e dil ki khhanakti khwahishon ke shor o ghul mein
Asmanon se uterti ek sadaa ko dhoondte hain


فرح اقبال
Farah Iqbal


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna

Dukh Ye Hai Mera Yousaf o Yaqoob Ke Khaliq Woh Log Bhi Bichdey Jo Bichadnay Ke Nahi Thay