Milta hai mauj mauj mujhe tu kabhi kabhi Ubhra hai tera aks lab e ju kabhi kabhi
ملتا ہے موج موج مجھے تو کبھی کبھی
ابھرا ہے تیرا عکس لب جو کبھی کبھی
Milta hai mauj mauj mujhe tu kabhi kabhi
Ubhra hai tera aks lab e ju kabhi kabhi
پاتے ہیں کچھ گلاب ٹھکانوں میں پرورش
آتی ہے پتھروں سے بھی خوشبو کبھی کبھی
Pate hain kuch gulab thikanon mein parvarish
Ati hai pattharon se bhi khushbu kabhi kabhi
یہ بھی ہوا کہ آنکھ بھی پتھرا گئی مری
پلکوں پہ جم گئے مرے آنسو کبھی کبھی
Ye bhi hua ke ankh bhi pathra gaiy meri
Palkon pe jam gaye mere ansu kabhi kabhi
رکھ صبح و شام شانۂ تدبیر ہاتھ میں
حالات کے بکھرتے ہیں گیسو کبھی کبھی
Rakh subh o sham shana e tadbeer hath mein
Halaat ke bikhharte hain gesu kabhi kabhi
یہ بھی ہے اک ستم تری قربت کے باوجود
ملتا نہیں سکوں کسی پہلو کبھی کبھی
Ye bhi hai ek sitam teri qurbat ke bawujood
Milta nahi sukoon kisi pehlu kabhi kabhi
بھٹکی مری نگاہ بھی تیری تلاش میں
آنسو بنے ہیں آنکھ میں آہو کبھی کبھی
Bhatki meri nigah bhi teri talash mein
Ansu bane hain ankh mein ahu kabhi kabhi
میں سنگدل نہیں ہوں مگر اس کے باوجود
چلتا ہے مجھ پہ حسن کا جادو کبھی کبھی
Main sangdil nahi hoon magar is ke bawujood
Chalta hai mujh pe husn ka jadu kabhi kabhi
شبنم بدوش آ کے مجھے حوصلہ بھی دے
باد صبا کی طرح مجھے چھو کبھی کبھی
Shabnam badosh aa ke mujhe hausla bhi de
Baad e saba ki tarah mujhe chhu kabhi kabhi
ناصرؔ مری غزل کو بہاروں کا بانکپن
دیتی ہے اس کی جنبش ابرو کبھی کبھی
Nasir meri ghazal ko baharon ka bankpan
Deti hai us ki jumbish e abru kabhi kabhi
ناصرؔ چوہدری
Nasir Chaudhry
Comments
Post a Comment