Nagah teri yad dar aiy khayal mein Main lutf le raha tha tere intizar ka



ناگاہ تیری یاد دَر آئی خیال میں
میں لُطف لے رہا تھا تِرے اِنتظار کا
Nagah teri yad dar aiy khayal mein
Main lutf le raha tha tere intizar ka

 
خُوشبو تِرے بدن کی عقیدوں میں آ بَسی
مُجھ کو تو کُچھ یقین نہیں تھا بہار کا
Khushbu tere badan ki aqeedon mein aa basi
Mujh ko to kuch yaqeen nahi tha bahar ka

 
یُوں جا رہا ہے موسمِ گُل رَخت باندھ کر
جیسے کہ قافلہ ہو ہجُومِ خُمار کا
Youn ja raha hai mausam e gul rakht baandh kar
Jaise ke qafla ho hujoom e khumar ka

 
اِس بار آئے تو مُجھے کرنا ذرا خبر
حُلیہ بگاڑ دُوں گا غمِ روزگار کا
Is baar aye to mujhe karna zara khabar
Hulia bigaar doon ga gham e rozgar ka

 
کہتے ہیں جس کو حشر کا میداں، وہ حادثہ
اِک موڑ تو نہیں ہے تِری رہگزار کا
Kehte hain jis ko hashr ka maidan, wo hadisa
Ek mor to nahi hai teri rehguzaar ka

 
کہتے ہیں زندگی جسے اَربابِ دِل عدمؔ
وہ میں نہیں تھا، پُھول تھا میرے مزار کا
Kehte hain zindagi jise arbab e dil
Adam
Wo main nahi tha, phool tha mere mazar ka

 
عبدالحمید عدمؔ
Abdul Hameed Adam


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha