Saaf auraq hain, likhne ki jagah khali hai Yani is mang mein tare ki jagah khali hai



صاف اوراق ہیں لکھنے کی جگہ خالی ہے
یعنی اس مانگ میں تارے کی جگہ خالی ہے
Saaf auraq hain, likhne ki jagah khali hai
Yani is mang mein tare ki jagah khali hai


کوئی خوش رنگ دلاسہ ہے تو لکھتے جاؤ
میری دیوار پہ نعرے کی جگہ خالی ہے
Koi khush rang dilasa hai to likhte jao
Meri deevar pe nare ki jagah khali hai


چاک پر رکھی ہوئی دنیا مکمل کردو
آخری جسم پہ چہرے کی جگہ خالی ہے
Chak par rakhi hui duniya mukammal kar do
Akhri jism pe chehre ki jagah khali hai

 
شہر جا کر نہیں پلٹے ہیں وہ سنگی بیلی
گاؤں میں آج بھی ڈیرے کی جگہ خالی ہے
Shehr ja kar nahi palte hain wo sangi beli
Ga’on mein aj bhi dere ki jagah khali hai


میری غزلیں ہیں سبھی بعد ترے بے مطلع
سارے نغمات میں مکھڑےکی جگہ خالی ہے
Meri ghazlen hain sabhi baad tere be matla
Sare naghmat mein mukhhre ki jagah khali hai


معذرت یار نیا عشق نہیں ہو سکتا
دل میسر ہے، نہ سینے کی جگہ خالی ہے
Mazrat yar naya ishq nahi ho sakta
Dil mayassir hai, na sehne ki jagah khali hai


آزاد حسین آزاد
Azad Hussain Azad


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha