Tumhara hijr isay abshar karta tha Hamari ankh pe thal inhisar karta tha



تمہارا ہجر اسے آبشار کرتا تھا
ہماری آنکھ پہ تھل انحصار کرتا تھا
Tumhara hijr isay abshar karta tha
Hamari ankh pe thal inhisar karta tha

 
وہ پھول دیکھنے آتا تھا باغ میں ہر روز
میں خوشبوؤں کو وسیلہ شمار کرتا تھا
Wo phool dekhne ata tha bagh mein har roz
Main khushbuon ko waseela shumar karta tha

 
میں چاہتا تھا کہ وہ بولتا رہے، میں سنوں
مگر وہ کم گو بڑا اختصار کرتا تھا
Main chahta tha ke wo bohta rahe, main sunoon
Magar wo kam go bara ikhtisar karta tha

 
مری زباں پہ بھروسہ تھا اس لیے سب کو
وہ ایک شخص مرا اعتبار کرتا تھا
Meri zuban pe bharosa tha is liye sab ko
Wo aik shakhs mera aitbar karta tha

 
کسی کی شکل اترتی تھی شعر بن کے حسیب
کوئی خیال مجھے سوگوار کرتا تھا
Kisi ki shakl uterti thi sher ban ke Haseeb
Koi khayal mujhe sogawar karta tha

 
حسیب الحسن
Haseeb Ul Hassan


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha