Ye hijr kia hai wisal kia hai Ye husn kia hai, jamal kia hai



یہ ہجر کیا ہے، وصال کیا ہے
یہ حسن کیا ہے، جمال کیا ہے
Ye hijr kia hai wisal kia hai
Ye husn kia hai, jamal kia hai

 
میں کب سے بیٹھا ہوں لے کے کاسہ
کبھی تو پوچھو سوال کیا ہے
Main kab se baitha hoon le ke kasa
Kabhi to poochho sawal kia hai

 
خدا کے بخشے پہ ناز کیسا
تمہارا اس میں کمال کیا ہے
Khuda ke bakhshe pe naz kaisa
Tumhara is mein kamal kia hai

 
اگر میسر ہو ساتھ تیرا
تو کیسی غربت، زوال کیا ہے
Agar mayassir ho sath tera
To kaisi ghurbat, zawal kia hai

 
جو دور گھر سے ہیں، ان سے پوچھو
یہ روز و شب، ماہ و سال کیا ہے
Jo door ghar se hain, un se poochho
Ye roz o shab maah o sal kia hai

 
یہ زندگی ہی کٹھن ہے سب سے
سوائے اس کے ُمحال کیا ہے
Ye zindagi hi kathin hai sab se
Siwaye is ke muhal kia hai

 
ہو یار کا تذکرہ نہ جس میں
غزل وہ کیسی، خیال کیا ہے
Ho yar ka tazkira na jis mein
Ghazal wo kaisi, khayal kia hai

 
رخِ صنم سے پِھرے یہ باسط
مری نظر کی مجال کیا ہے
Rukh e sanam se phire ye Basit
Meri nazar ki majal kia hai


باسط علی حیدری
Basit Ali Haidry


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha