Abhi imkan tak nahi aiy Bat jo dhiyan tak nahi aiy
ابھی امکان تک نہیں آئی
بات جو دھیان تک نہیں آئی
Abhi imkan tak nahi aiy
Bat jo dhiyan tak nahi aiy
آج سورج خفا خفا سا ہے
دھوپ دالان تک نہیں آئی
Aj sooraj khafa khafa sa hai
Dhoop dalan tak nahi aiy
ہوش کا ساتھ چند لمحوں تک
فکر وجدان تک نہیں آئی
Hosh ka sath chand lamhon tak
Fikr wajdan tak nahi aiy
اک تعلق بنا رہا ہم میں
بات پیمان تک نہیں آئی
Ek talluq bana raha hum mein
Bat paiman tak nahi aiy
وہ محبت رہی فقط دل میں
روح اور جان تک نہیں آئی
Wo muhabbat rahi faqat dil mein
Rooh aur jan tak nahi aiy
میری ہر اک غزل ادھوری ہے
کیونکہ یہ گیان تک نہیں آئی
Meri har ek ghazal adhoori hai
Kyunke ye gyan tak nahi aiy
تہمتیں آ گئیں مکینوں پر
بات مہمان تک نہیں آئی
Tuhmaten aa gayeen makeenon par
Bat mehman tak nahi aiy
رضیہ سبحان
Razia Subhan
Comments
Post a Comment