Asmanon se agar aik ishara ho jaye Jo na hota ho, wohi kaam hamara ho jayeha



آسمانوں سےاگر ایک اشارہ ہو جائے
جو نہ ہوتا ہو، وہی کام ہمارا ہو جائے
Asmanon se agar aik ishara ho jaye
Jo na hota ho, wohi kaam hamara ho jaye


یہ بھی ممکن ہے، دریا ہی بدل لے رستہ
ہم کنارہ نہ کریں اور کنارہ ہو جائے
Ye bhi mumkin hai, dariya hi badal le rasta
Hum kinara na karen aur kinara ho jaye


ایک ادنی سی کرامت ہے یہ میرے غم کی
تُو بھی گر آنکھ میں رہ جائے، ستارہ ہو جائے
Aik adna si karamat hai ye mere gham ki
Tu bhi gar ankh mein reh jaye, sitara ho jaye


زندہ رکھے گی مجھے ایک محبت کب تک
چاہے پہلا ہی سہی، عشق دوبارہ ہو جائے
Zinda rakhe gi mujhe aik muhabbat kab tak
Chahe pehla hi sahi iIshq dobara ho jaye

 
عزت اتنی کہ نہ ہو انت کوئی جس کا منیر
رزق اتنا کہ محبت سے گزارا ہو جائے
Izzat itni ke na ho ant koi jis ka Munir
Rizq itna ke muhabbat se guzara ho jaye


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna

Dukh Ye Hai Mera Yousaf o Yaqoob Ke Khaliq Woh Log Bhi Bichdey Jo Bichadnay Ke Nahi Thay