Junoon baghair mukammal dhamal hota nahi Madam raqs mein rehna kamal hota nahi
جنوں بغیر مکمل دھمال ہوتا نہیں
مدام رقص میں رہنا کمال ہوتا نہیں
Junoon baghair mukammal dhamal hota nahi
Madam raqs mein rehna kamal hota nahi
وہ ایک نعرۂ حق جس کی گونج چاروں طرف
اگر نصیب ہو دل پر ملال ہوتا نہیں
Wo aik narah e haq Jis ki goonj charon taraf
Agar naseeb ho dil par malal hota nahi
نفس نفس میں بسا ہو غم فراق اگر
تو صبر ذات کبھی پائمال ہوتا نہیں
Nafs nafs mein basa ho gham e firaq agar
Tu sabr e zat kabhi payemal hota nahi
تری نگاہ محبت کا سب کمال ہے یہ
کبھی جلال سے خارج جمال ہوتا نہیں
Teri nigah e muhabbat ka sab kamal hai ye
Kabhi jalal se kharij jamal hota nahi
جلال و کبر اسی ذات پر تو جچتے ہیں
اگر وہ ہوتا نہیں، یہ جلال ہوتا نہیں
Jalal o kibr Usi Zat par to jachte hain
Agar Wo hota nahi, ye jalal hota nahi
جو قید وقت سے آزاد ہو گیا رضیہ
اسے پھر اپنی خبر اور خیال ہوتا نہیں
Jo qaid e waqt se azad ho gaya Razia
Usay phir apni khabar aur khayal hota nahi
رضیہ سبحان
Razia Subhan
Comments
Post a Comment