Main jis ki mustahiq hoon wo mera inam rehne do Agar gumnam hoon main to mujhe gumnam rehne do



میں جس کی مستحق ہوں، وہ مرا انعام رینے دو
اگر گمنام ہوں میں تو مجھے گمنام رہنے دو
Main jis ki mustahiq hoon wo mera inam rehne do
Agar gumnam hoon main to mujhe gumnam rehne do


نہیں منظور محفل میں مری مدح سرائی ہو
کہاں پر خاص ہوں میں اور کہاں پر عام، رہنے دو
Nahi manzoor mehfil mein meri madah saraiy ho
Kahan par khas hoon main aur kahan par aam, rehne do

 
نمائش چاپلوسی اور خوشامد عام شیوہ ہے
جو سچا اور کھرا ہے، ہے وہی بدنام، رہنے دو
Numa’ish, chaplosi aur khushamad aam sheva hai
Jo sacha aur khharaa hai, hai wohi badnam, rehne do

 
کہا کس نے کہ دولت، شان و شوکت، نام لازم ہے
سکندر کے بھی ہاتھوں میں تھے خالی جام رہنے دو
Kaha kis ne ke daulat, shan o shaukat, naam lazim hai
Sikander ke bhi hathon mein thay khali jaam, rehne do

 
اگر اپنی کہانی نا مکمل یونہی رہنی تھی
تو پھر آغاز کیا اور کیا ہوا انجام، رہنے دو
Agar apni kahani na mukammal younhi rehni thi
To phir aghaz kia au ur kia hua anjam, rehne do

 
سمیٹو تم تجلی صبح نو کی اپنے دامن میں
میرے دل میں اترتی سرمئی یہ شام رہنے دو
Sameto tum tajalli subh e nau ki apne daman mein
Mere dil mein uterti surmaiy ye sham rehne do


مجھے ہر پل تسلی ہے مرا دل مطمئن سا ہے
دھرے ہیں جو جہاں نے مجھ، پہ وہ الزام رہنے دو
Mujhe har pal tasalli hai mera dil mutma’in sa hai
Daher hain jo jahan ne mujh pe, wo ilzam rehne do

 
لب و لہجہ، تخیل، فکر و دانش آگہی رضیہ
کہاں اب ان کی قیمت ہے، انہیں بے دام رہنے دو
Lab o lehja, takhayyul, fikr o danish agehi Razia
Kahan ab in ki qeemat hai, inhen be daam rehne do

 
رضیہ سبحان
Razia Subhan


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna

Dukh Ye Hai Mera Yousaf o Yaqoob Ke Khaliq Woh Log Bhi Bichdey Jo Bichadnay Ke Nahi Thay