Sirf na mumkinat mangta hai Jab kabhi mera hath mangta hai



صرف ناممکنات مانگتا ہے
جب کبھی میرا ہاتھ مانگتا ہے
Sirf na mumkinat mangta hai
Jab kabhi mera hath mangta hai


جو مقدر میں ہی نہیں اپنے
کیوں ستمگر وہ ساتھ مانگتا ہے
Jo muqaddar mein hi nahi apne
Kyun sitamgar wo sath mangta hai

 
ایک پل میں جو سانحہ بن جائے
وقت وہ حادثات مانگتا ہے
Aik pal mein jo saniha ban jaye
Waqt wo hadisat mangta hai


اس زمیں پر یہ آسماں ہر روز
اک نئی واردات مانگتا ہے
Is zameen par ye asman har roz
Ek naiy wardat mangta hai


رنگ اور نور کی رہے رم جھم
دل کوئی ایسی رات مانگتا ہے
Rang aur noor ki rahe rim jhim
Dil koi aisi rat mangta hai

 
وہ میری کائنات ہے رضیہ
اور یہ دل کائنات مانگتا ہے
Wo meri kaiynat hai Razia
Aur ye dil kaiynat mangta hai

 
رضیہ سبحان
Razia Subhan


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna

Dukh Ye Hai Mera Yousaf o Yaqoob Ke Khaliq Woh Log Bhi Bichdey Jo Bichadnay Ke Nahi Thay