Main ne pi li thi jo kal sham ka manzar nacha Ya phir aisa hai ke andar ka qalandar nacha



میں نے پی لی تھی جو کل، شام کا منظر ناچا
یا پھر ایسا ہے کہ اندر کا قلندر ناچا
Main ne pi li thi jo kal sham ka manzar nacha
Ya phir aisa hai ke andar ka qalandar nacha

 
اب تلک چھنن چھنن کی صدائیں آتی ہیں
کون "بلھا” تھا جو اس روح میں آ کر ناچا
Ab talak chhanan chhanan ki sadayen ati hain
Kaun “Bulha” tha jo is rooh mein aa kar nacha

 
اس نے محفل میں جو یکبار اٹھائی آنکھیں
دست ساقی، کبھی بوتل، کبھی ساغر ناچا
Us ne mehfil mein jo yakbar uthaiy ankhen
Dast e saqi, kabhi botal, kabhi saghar nacha

 
دهڑکنیں وجد کناں ہو کے ہوئیں چپ ایسے
جب میرے دل پہ میرے یار کا خنجر ناچا
Dharkanen wajd kanan ho ke huyeen chup aise
Jab mere dil pe mere yar ka khanjar nacha

 
کیا کہیں، کتنی دراڑوں نے زباں کھولی ہے
دل کے شیشے پہ جو اک ہجر کا کنکر ناچا
nachaKia kahen, kitni dararon ne zuban khholi hai
Dil ke sheeshe pe jo ek hijr ka kankar nacha

 
وقت رخصت میری آنکھوں سے لہو نچڑا تھا
پھر میرا ضبط میری آنکھوں میں آ کر ناچا
Waqt e rukhsat meri ankhon se lahu nuchra tha
Phir mera zabt meri ankhon mein aa kar nacha

 
دیکھ کر ضبط میرا دشت نے پاؤں پکڑے
پھر میری پیاس میں، کہتے ہیں، سمندر ناچا
Dekh kar zabt mera dasht ne pa’on pakre
Phir meri piyas mein, kehte hain, samundar nacha


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna

Dukh Ye Hai Mera Yousaf o Yaqoob Ke Khaliq Woh Log Bhi Bichdey Jo Bichadnay Ke Nahi Thay