Alvida October Yeh Woh Maheena Hai Jo Chupky Se Dil Ke Darwaze Par Dastak Daita Hai
الوداع اکتوبر
Alvida October
یہ وہ مہینہ ہے
جو چپکے سے دل کے دروازے پر دستک دیتا ہے
اورچپکے سے سرگوشی کرتاہے
چلو، چند دن اور خاموش رہ لیتے ہیں
Yeh Woh Maheena Hai
Jo Chupky Se Dil Ke Darwaze Par Dastak Daita Hai
Aur Chupke Se Sargoshi Karta Hai
Chalo , Chand Din Aur Khamosh Reh Laity Hein
ہوا نظریں نیچی کر لیتی ہے
درخت آہستہ سانس لیتے ہیں
اور یادیں
پتوں کی مانند گرنے لگتی ہیں
Hawa Nazrein Neechi Kar Laiti Hai
Darakht Aahista Aahista Sans Laity Hein
Aur Yaadein
Patton Ki Manind Girne Lagti Hein
یہ موسم آوازیں کم
اور سوچیں زیادہ کر دیتا ہے
جب ہم بیٹھے بیٹھے کھو جاتے ہیں
ہر خشک پتے میں
کھوئی ہوئی اس ہر خوشی کو ڈھونڈتے ہیں
اور آنکھیں ہر نمی کو
محبت سمجھ بیٹھتی ہیں
Yeh Mousam Aawazein Kam
Aur Sochein Ziyada Kar Daita Hai
Jab Hum Baithay Baithay Kho Jate Hein
Har Khushk Paty Mein
Khoi Hoi Us Har Khushi Ko Dhoonty Hein
Aur Aankhein Har Nami Ko
Muhabbat Samajh Baithti Hein
اکتوبر وہ پل ہے
جو گزر کر بھی رہ جاتا ہے
سانسوں کے بیچ رکی ہوئی آہ کی طرح
دل کی دیواروں پر
سرد لمس کی ہلکی سی دھند بن کر
تم آتے ہو تو
وقت کی راہیں ٹھہر جاتی ہیں
اور دل کسی خاموش دعا میں ڈوب جاتا ہے
October Woh Pal Hai
Jo Guzar Kar Bhi Reh Jata Hai
Sanson Ke Beech Ruki Hoi Aah Ki Tarah
Dil Ki Deewaron Par
Sard Lams Ki Halki See Dhund Ban Kar
Tum Aate Ho Tou
Waqt Ki Rahein Thehar Jati Hein
Aur Dil Kisi Khamosh Dua Mein Doob Jata Hai
کیا عجیب موسم ہو تم
نہ مکمل رخصت، نہ مکمل قیام
بس روح کے دریچے پر بیٹھ کر
خاموشی سے چائے پیتے رہتے ہو
اور جاتے جاتے سرگوشی کرتے ہو
خود کو سنبھال کر رکھنا
اداسی کبھی کبھی ضروری ہوتی ہے
یہ محبت کو سمجھا دیتی ہے
Kia Ajeeb Mousam Ho Tum
Na Mukamal Rukhsat , Na Mukamal Qiyam
Bas Rooh Ke Dareechay Par Baith Kar
Khamoshi Se Chaaye Peety Rehte Ho
Aur Jate Jate Sargoshi Karte Ho
Khud Ko Sanbhal Kar Rakhna
Udasi Kabhi Kabhi Zaroori Hoti Hai
Yeh Muhabbat Ko Samjha Daiti Hai

Comments
Post a Comment