Dhoop mein saya bane, tanha khhare hote hain Bare logon ke khasare bhi bare hote hain
دھوپ میں سایہ بنے تنہا کھڑے ہوتے ہیں
بڑے لوگوں کے خسارے بھی بڑے ہوتے ہیں
Dhoop mein saya bane, tanha khhare hote hain
Bare logon ke khasare bhi bare hote hain
ایک ہی وقت میں پیاسے بھی ہیں، سیراب بھی ہیں
ہم جو صحراؤں کی مٹی کے گھڑے ہوتے ہیں
Aik hi waqt mein piyase bhi hain, sairab bhi hain
Hum jo sehraon ki mitti ke ghhare hote hain
یہ جو رہتے ہیں بہت موج میں شب بھر ہم لوگ
صبح ہوتے ہی کنارے پہ پڑے ہوتے ہیں
Ye jo rehte hain bohat mauj mein shab bhar hum loag
Subh hote hi kinare pe pare hote hain
آنکھ کھلتے ہی جبیں چومنے آ جاتے ہیں
ہم اگر خواب میں بھی تم سے لڑے ہوتے ہیں
Ankh khhulte hi jabeen choomne aa jate hain
Hum agar khwab mein bhi tum se lare hote hain
ہجر دیوار کا آزار الگ اپنی جگہ
اس کے اوپر بھی کئی کانچ جڑے ہوتے ہیں
Hijr deevar ka azaar alag apni jagah
Us ke ooper bhi kaiy kanch jare hote hain
Comments
Post a Comment