Phir ankh wahin sabt na jaye to kehna Par jaye agar us pe teri aik nazar bhi



پھر آنکھ وہیں ثبت نہ ہو جائے تو کہنا​
پڑ جائے اگر اُس پہ تِری ایک نظر بھی​
Phir ankh wahin sabt na jaye to kehna
Par jaye agar us pe teri aik nazar bhi

 
کچھ پیاس ہے اُس حُسن کو بھی میری نظر کی​
کچھ حُسن کا پیاسا ہے مِرا حُسنِ نظر بھی
​Kuch piyas hai us husn ko bhi meri nazar ki
Kuch husn ka piyasa hai mera husn e nazar bhi

 
کیا عِشق ہے، کیا حُسن ہے، کیا جانیے، کیا ہو​
محشر ہے اِدھر بھی تو قیامت ہے اُدھر بھی
​Kia ishq hai, kia husn hai kia janiye, kia ho
Mehshar hai idhar bhi to qayamat hai udhar bhi

 
تُو چشمِ عنایت سے ذرا رُخ تو اِدھر کر​
کافی ہے تِری ایک محبت کی نظر بھی​
Tu chashm e inayet se zara rukh to idhar kar
Kafi hai teri aik muhabbat ki nazar bhi

 
عدیم ہاشمی
Adeem Hashmi


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna

Dukh Ye Hai Mera Yousaf o Yaqoob Ke Khaliq Woh Log Bhi Bichdey Jo Bichadnay Ke Nahi Thay