Yeh kaisa Chalan, Kaisi hawa, kaisi Purwaai Hai Main Jaana Chahta Hoon yeh Kisne Aag Lagayi Hai
Yeh kaisa Chalan, Kaisi hawa, kaisi Purwaai Hai
Main Jaana Chahta Hoon yeh Kisne Aag Lagayi Hai
Aurat Kya Hai?? Kabhi Samajkar To Dekho Nadaan
Tere Har Rishte MeN Ek Aurat Ki Hi Parchai Hai
Apni Taaqat Kyun Aazmaate Ho Kisi Aurat Par
Mard Kehlaane Wale, Kya Tujhe Sharm Tak Nahi Aayi Hai
Har Dharam, har Mazhab Ne Aurat Ke Astitva Ko Rutba Diya
Aaj Bhi Aurat.. Nasa, Khel, Buisness Har Jagah Chaai Hai
Ek Hi Darja Hai Sab Ka, Kaheen Koi Bhi Antar Nahi
Azaad Desh MeN Qaid Kyun Ek Aurat Hi Nazar Aayi Hai??
Ek Maa, Ek Behan, Ek Biwi, Ek Beti…Sab Rishte Hai Inse Juude
Apni Pehchaan Jisse Dhundhni pade, yeh Kaisi Ladaai Hai
Jaago Gehri Neend MeN Sone Walo, Ab Waqt Ho Chala Hai
Maan-Izzat Do Aurat Ko’ Maine Ne Dil Se Awaaz Lagaai Hai

Comments
Post a Comment