Phool hi phool hain aur rang sajaye huya hain Mere anchal mein kaiy khwab samaye huay hain
پھول ہی پھول ہیں اور رنگ سجائے ہوئے ہیں
میرے آنچل میں کئی خواب سمائے ہوئے ہیں
Phool hi phool hain aur rang sajaye huya hain
Mere anchal mein kaiy khwab samaye huay hain
خار آلود ہیں پلکوں کے جزیرے لیکن
پھول آنکھوں کے دریچوں میں سجائے ہوئے ہیں
Khar alood hain palkon ke jazeere lekin
Phool ankhon ke dareechon mein sajaye huay hain
ٹوٹ کر بکھرے نہیں خواب کبھی آنکھوں میں
یہ محل ہم نے محبت سے بناۓ ہوۓ ہیں
Toot kar bikhhre nahi khwab kabhi ankhon mein
Ye mehl hum ne muhabbat se banaye huay hain
ہم وہ برگد ہیں جو سائے کی علامت ٹھہرے
ہم نے کچھ اشک ابھی دل میں چھپائے ہوئے ہیں
Hum wo bargad hain jo saae ki alamat thehre
Hum ne kuch ashk abhi dil mein chhupaye huay hain
اس لیے روشنی کرتے ہیں خدوخال مرے
میں نے کچھ دیپ محبت میں جلائے ہوئے ہیں
Is liye raushni karte hain khad o khal mere
Main ne kuch deep muhabbat mein jalaye huay hain
خود پہ ایمان رکھا خود کو سنبھالا تسنیم
زندگی تیرے ستم ہنس کے اٹھائے ہوئے ہیں
Khud pe eeman rakha, khud ko sambhala Tasneem
Zindagi tere sitam hans ke uthaye huay hain
سیدہ تسنیم بخاری
Syeda Tasneem Bukhari

Comments
Post a Comment