Door Se Hi Salaam Hai Sahib Husn Hum Par Haraam Hai Sahib



دُور سے ہی سلام ہے صاحب
حُسن ہم پر حرام ہے صاحب

ہم جنونی ، مسافرانِ دار
عشق اَپنا اِمام ہے صاحب

عشق تو جاں کنی میں سجدے کو
عمر بھر کا قیام ہے صاحب

دائروں میں کٹے گی سب کی حیات
آرزُو سب کی خام ہے صاحب

اِک ملاقات کا بکھیڑا ہے
زِندگی ایک شام ہے صاحب

جب تلک لکھنے والا زِندہ ہے
ہر غزل ناتمام ہے صاحب

آنکھ بند کر کے لیجیے وُہ کتاب
قیس کا جس پہ نام ہے صاحب
شہزاد قیس

Door Se Hi Salaam Hai Sahib
Husn Hum Par Haraam Hai Sahib

Hum Junooni , Musafiran e Daar
Ishq Apna Imaam Hai Sahib

Ishq Tou Jaan Kani Mein Sajdy Ko
Umar Bhar Ka Qiyaam Hai Sahib

Daero Mein Katay Gi Sab Ki Hayaat
Aarzoo Sab Ki Khaam Hai Sahib

Ik Mulaqaat Ka Bakher'ra Hai
Zindagi Aik Shaam Hai Sahib

Jab Talak Lekhnay Wala Zinda Hai
Har Ghazal Na-Tamaam Hai Sahib

Aankh Band Kar Ke Lijiye Woh Kitaab
Qais Ka Jis Pe Naam Hai Sahib
Poet:Shehzad Qais

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo