Har Marhala-e-Shauq Se Lehra Ke Guzar Ja Asar-e-Talatum Hon Tou Bal Kha Ke Guzar Ja (Saghar Siddiqui)



Har Marhala-e-Shauq Se Lehra Ke Guzar Ja
Asar-e-Talatum Hon Tou Bal Kha Ke Guzar Ja

Bahki Hoi Makhmoor Ghataon Ki Sada Sun
Firdaus Ki Tadbeer Ko Bahla Ke Guzar Ja

Mayus Hain Ehsaas Se Ulji Hoi Rahen
Paa'el Dil-e-Majboor Ki Chhanka Ke Guzar Ja

Yazdan-o-Ahrman Ki Hikayat Ke Badle
Insan Ki Rawayat Ko Dohra Ke Guzar Ja

Kehti Hain Tujhe Mai-Kada-e-Waqt Ki Rahen
Bigdi Hoi Taqdeer Ko Suljha Ke Guzar Ja

Bujhti Hi Nahi Tishnagi-e-Dil Kisi Sorat
Ay Abr-e-Karam Aag Hi Barsa Ke Guzar Ja

Kante Jo Lagen Haath Tou Kuch Gham Nahi "SAGHAR"
Kaliyon Ko Har Ik Gaam Pe Bikhra Ke Guzar Ja

Poet:Saghar Siddiqui

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo