Bas Yahi Soch Ke Pehron Na Raha Hosh Mujhe Kar Diya Ho Na Kahein Tu Ne Faramosh Mujhe


 

بس یہی سوچ کے پہروں نہ رہا ہوش مجھے
کر دیا ہو نہ کہیں تُو نے فراموش مجھے
Bas Yahi Soch Ke Pehron Na Raha Hosh Mujhe 

Kar Diya Ho Na Kahein Tu Ne Faramosh Mujhe
تیری آنکھوں کا یہ میخانہ سلامت ساقی
مست رکھتا ہے ترا بادہ ء سرجوش مجھے
Teri Aankhon Ka Ye Maikhana Salamat Saqi

Mast Rakhta Hai Tera Badah e Sar Josh Mujhe
ہچکیاں موت کی آنے لگیں اب تو آجا
اور کچھ دیر میں شاید نہ رہے ہوش مجھے
Hichkiyan Mout Ki Aanay Lagein Ab Tou Aa Ja

Aur Kuch Der Mein Shayed Na Rahe Hosh Mujhe
کب کا رسوا میرے اعمال مجھے کر دیتے
میری قسمت کہ ملا تجھ سا خطا پوش مجھے
Kab Ka Ruswa Mere Aamal Mujhe Kar Dete

Meri Qismat Keh Mila Tujh Sa Khata-Posh Mujhe
کس کی آہٹ سے یہ سویا ہوا دل جاگ اُٹھا
کر دیا کس کی صدا نے ہمہ تن گوش مجھے
Kis Ki Aahat Se Ye Soya Hoa Dil Jaag Utha

Kar Diya Kis Ki Sada Ne Hama-Tan Gosh Mujhe
یاد کرتا رہا تسبیح کے دانوں پہ جسے
کردیا ہے اُسی ظالم نے فراموش مجھے
Yaad Karta Raha Tasbeeh Ke Danon Pe Jise

Kar Diya Hai Usi Zalim Ne Faramosh Mujhe
ایک دو جام سے نیت مری بھر جاتی تھی
تری آنکھوں نے بنایا ہے بلانوش مجھے
Aik Do Jaam Se Neeyat Meri Bhar Jati Thi

Teri Aankhon Ne Banaya Hai Bila-Nosh Mujhe
جیتے جی مجھ کو سمجھتے تھے جو اک بارِ گراں
قبر تک لے کے گئے وہ بھی سرِ دوش مجھے
Jeetay Jee Mujh Ko Samajhtay Thay Jo Ik Baar e Garan

Qabar Tak Le Ke Gaye Woh Bhi Sar e Dosh Mujhe
مجھ پہ کُھلنے نہیں دیتا وہ حقیقت میری
حجلہ ء ذات میں رکھتا ہے وہ رُو پوش مجھے
Mujh Pe Khulnay Nahi Deta Woh Haqeeqat Meri

Hujlah e Zaat Mein Rakhta Hai Woh Roo-Posh Mujhe
صحبتِ میکدہ یاد آئے گی سب کو برسوں
نام لے لے کے مرا روئیں گے مے نوش مجھے
Suhbat e Maikadah Yaad Aaigi Sab Ko Barson

Nam Le Le Ke Mera Roeingay Mai-Nosh Mujhe
بُوئے گُل مانگنے آئے مرے ہونٹوں سے مہک
چومنے کو ترے مل جائیں جو پاپوش مجھے
Boo e Gul Mangnay Aaye Mere Honton Se Mehik

Choomnay Ko Tere Mil Jaein Jo Paposh Mujhe
زندگی کے غم و آلام کا مارا تھا میں
ماں کی آغوش لگی قبر کی آغوش مجھے
Zindagi Ke Gham o Alam Ka Mara Tha Main

Maa Ki Aaghosh Lagi Qabar Ki Aaghosh Mujhe
دے بھی سکتاہوں نصیر اینٹ کا پتھر سے جواب

وہ تو رکھا ہے مرے ظرف نے خاموش مجھے
 De Bhi Sakta Hoon NASEER Ent Ka Pathar Se Jawab

Woh Tou Rakha Hai Mere Taraf Ne Khamosh Mujhe

  سید نصیر الدین نصیر

Sayed Naseer u Deen Naseer

 

5 comments:

  1. Wah kiya baat hy Pir Naseer uddin Naseer R.A. ki 🌹🌹 Allah ki un pe rehmat ho ....Ameen!

    ReplyDelete
  2. Bhai pehle is ghazal k baad peer naseer uddin naseer k bete(peer Nizamuddin) ki ghazal bhi ati thi ab nhi ati.
    "Bewafa Keh gaya ehsaan framosh mujhe"

    ReplyDelete

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo