Gham e Hayat Ka Jhagda Mita Raha Hai Koi Chalay Aao Keh Dunya Se Ja Raha Hai Koi



Gham e Hayat Ka Jhagda Mita Raha Hai Koi
Chalay Aao Keh Dunya Se Ja Raha Hai Koi


Azal Se Keh Do Keh Ruk Jaye Do Ghadi
Suna Hai Aanay Ka Wa'ada Nibha Raha Hai Koi


Woh Iss Naz Se Baithay Hein Laash Ke Paas
Jaise Rothay Hoe Ko Mana Raha Hai Koi


Palat Kar Na Aa Jaye Phir Sans Nabzon Mein
Itnay Haseen Haathon Se Mayyet Saja Raha Hai Koi


Ahmad Faraz


1 comment:

  1. Yeh ghazal Sardar Anjum ki hai Ahmed Faraz ki nahi

    ReplyDelete

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo