Hairat e Ishq Nahi Shouq Junoon Gosh Nahi Be-Hijabana Chaly Aao Mujhe Hosh Nahi
حیرت عشق
Hairat e Ishq
حیرت عشق نہیں شوق جنوں گوش نہیں
بے حجابانہ چلے آؤمجھے ہوش نہیں
Hairat e Ishq Nahi Shouq Junoon Gosh Nahi
Be-Hijabana Chaly Aao Mujhe Hosh Nahi
رند جو مجھ کو سمجھتے ہیں انہیں ہوش نہیں
میں گدا ساز ہوںمیں گدا فرموش نہیں
Rind Jo Mujh Ko Samajhtay Hein Unhein Hosh Nahi
Main Gada-Saaz Hon Main Gada Faramosh Nahi
کہہ گئی کان میں آ کر تیرے دامن کی ہوا
صاحب ہوش وہی ہے کہ جیسے ہوش نہیں
Keh Gai Kan Mein Aa Kar Tere Daman Ki Hawa
Sahib e Hosh Wahi Hai Keh Jise Hosh Nahi
کبھی ان مدھ بھری آنکھوں سے پیا تھا اک جام
آج تک ہوش نہیں ہوش نہیں ہوش نہیں
Kabhi In Madh Bhari Aankhon Se Piya Tha Ik Jaam
Aaj Tak Hosh Nahi Hosh Nahi Hosh Nahi
محو تسبیح تو سب ہیں مگر ادراک کہاں
زندگی خود ہی عبادت ہےمگر ہوش نہیں
Maho e Tasbeeh Tou Sab Hein Magar Idraak Kahan
Zindagi Khud Hi Ibadat Hai Magar Hosh Nahi
مل کے جس دن سے گیا کوئی ایک بار جگر
مجھ کو یہ وہم ہےجیسے میرا آغوش نہیں
Mil Ke Jis Din Se Gaya Koi Aik Baar JIGAR
Mujh Ko Yeh Weham Hai Jaise Mera Aaghosh Nahi
جگر مراد آبادی
Jigar Muradabadi
.jpg)
Comments
Post a Comment