Posts

Wo meray haathon ki dastras se Bahut paray tha Main jhuk gaya tha

Image
دسترس وہ میرے ہاتھوں کی دسترس سے بہت پرے تھا مَیں جُھک گیا تھا مگر وہ پھر بھی نشیب میں تھا اُسے اٹھانے کے واسطے مَیں اگرچہ اُترا تھا پستیوں میں مگر وہ میری اَنا کے زینے پہ پاؤں رکھ کے کُچھ ایسا اُونچا ہوا کہ دیکھو وہ میرے ہاتھوں کی دسترس میں نہیں رہا ہے Dastras Wo meray haathon ki dastras se Bahut paray tha Main jhuk gaya tha Magar wo phir bhi nashaib main tha Usay uthanay key wastay Agarchay utra tha pastiyon main Magar wo meri an'na key zeenay pe paon rakh key Kuch aisa aoncha howa key daikho Wo meray haathon ki dastras main nahi raha hai

Hunar saray nahin aayen ge tum ko Tumhein meri zaroorat phir perhe gi

Image
Hunar saray nahin aayen ge tum ko Tumhein meri zaroorat phir perhe gi

Talash-e-yaar main kaam aa gaye hami aakhir Hamaray kaam nahi aai umar bhar ki talash

Image
تلاش یار میں کام آ گئے ہمی آخر ہمارے کام نہیں آئی عمر بھر کی تلاش Talash-e-yaar main kaam aa gaye hami aakhir Hamaray kaam nahi aai umar bhar ki talash

Ya mujhe afsar-e-shahaana banaaya hota Ya mera taaj gadayana banaaya hota

Image
Ya mujhe afsar-e-shahaana banaaya hota Ya mera taaj gadayana banaaya hota Apna deewana banaya mujhe hota tu ne Kyun khirad mand banaaya, na banaaya hota Bahadur Shah Zafar

Zindagi k wo kesi moor peh gahy gahy Mel tu jate hain mulaqat kahan hoti hai

Image
Zindagi k wo kesi moor peh gahy gahy Mel tu jate hain mulaqat kahan hoti hai Ahmad Rahi  

Tu Ne Touheen Muhabbat Ki Hai Kaise Tu Ne Ye Jasarat Ki Hai

Image
Jaam Pee Kar Jo Door Tak Daikha Chishm e Hasti Ne Toor Tak Daikha   Ye Sharf Aainay Ko Hasil Hai Aainay Ne Huzoor Tak Daikha   Chishm e Deewana-Waar Jisko Mili Us Ne Had e Shaour Tak Daikha   Un Ki Zulfon Ka Rang Paya Hai Jab Bhi Takhleeq e Noor Tak Daikha   Aijz Ki Roshni Mein Ae SAGHAR Hum Ne Baam e Ghuroor Tak Daikha   Saghar Siddiqui  

Tu Ne Touheen Muhabbat Ki Hai Kaise Tu Ne Ye Jasarat Ki Hai

Image