Beniaz-E-Gham-E-Paimaan-E-Wafa Ho Jana

 

Poet Ahmad Faraz

 

Beniaz-E-Gham-E-Paimaan-E-Wafa Ho Jana,

Tum Bhi Auron Ki Tarah Mujh Se Juda Ho Jana,

Main Bhi Palkon Pe Saja Lon Ga Lahoo Ki Boondain,

Tum Bhi Pabasta-E-Zanjeer-E-Heena Ho Jana,

Khalq Ki Sang-Zani Meri Khaton Ka Sila,

Tum To Masoom Ho Tum Door Zara Ho Jana,

Ab Mere Waste Tariyaq Hai Ilhad Ka Zehr,

Tum Kisi Aur Pujari K Khuda Ho Jana.................!

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai