Farz Karo Hum Tare Hote

 

Poet Amjid Islam Amjid

 

Farz Karo Hum Tare Hote

Ek Doje Ko Door Door Se Dekh Dekh Kar Jalte Bujhte,

Aur Phir Ek Din Shaki Falak Se Girte,

Aur Tareek Khalaon Mein Kho Jate !

Darya K Do Dhare Hote,

Apni Apni Moj MeiN Behte,

Aur Sumandar Tak Is Aandhi Wehshi Aur Munh,

Zoor Musafit K Jadou Mein Tanha Rehte,

Farz Krain Hum Bhoor Samay K Panchi Hote,

Urte Urte Ek Doje Ko Choote Aur Phir,

Khule Gagan Ki Gehri Aur Be Sarfa Aankhon Mein Kho Jate!

Abr-e-Bahar K Jhonke Hote,

Musam K Ek Be Maqsha Se Khawab Me Milte,

Mile Aur Juda Ho Jate,

Khushak Zameeno K Hathon Pe Sabaz,

Lakeerain Kunda Karte Aur An Dekhe Sapne Bote!

Apne Apne Ansou Ro Kr Chain Se Sote,

Farz Karo Hum Jo Kuch Ab Hain Wo Na Hote........!

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo