Na Wo Farishta Ho Na Farishte Jaisa Ho

 

 

Poet Muneer Niazi

Na Wo Farishta Ho Na Farishte Jaisa Ho,

Mujhe Talash Hai Us Ki Jo Mere Jaisa Ho,

Jo Khawab Dene Ko Qadir Ho Meri Aankhon Ko,

Meri Mohabbat Ko Pehchan Sake Wo Aisa Ho,

Meri Khatir Marne Ka Hosla Bhi Rakhta Ho,

Koi Bhi Ho Kahi Bhi Ho Bas Aisa Ho,

Agar Kabhi Rooth Jaon Main Us Se To,

Muskra K Manaye Wo Aisa Ho,

Jo Bat Kare To Wo Nibha Bhi Sake,

Iradon Mein Wo Apne Chatano Jaisa Ho,

Dukhon Mein Hansne Ka Hunar Janta Ho,

Ek Aisa Hamsafar Jo Samandar Ki Tarah Gehra Ho,

Us K Pyar Ki Thandak Ho Mere Liye Aisi,

K Wo To Bilkul Aasman K Chand Jaisa Ho,

M U N E E R

Wo Sirf Mera Ho Jo Nigahon Mein Haya Rakhta Ho,

Umar Bhar Sath Chale Bas Humsafar Mera Aisa Ho.

 

 

1 comment:

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo