Ik Naghma , Ik Taara , Ik Ghuncha , Ik Jaam Ay Gham-e-Dauran Gham-e-Dauran Tujhe Salaam



Ik Naghma , Ik Taara , Ik Ghuncha , Ik Jaam
Ay Gham-e-Dauran Gham-e-Dauran Tujhe Salaam

Zulf Aawara , Gareban Chaak Ghabraai Nazar
In Dino Ye Hai Jahan Mein Zindagi Ka Nizam

Chand Taare Toot Kar Daman Mein Mere Aa Gire
Main Ne Poocha Tha Sitaron Se Tere Gham Ka Muqam

Keh Rahe Hain Chand Bichdey Rahravon Ke Naqsh-e-Paa
Hum Karengy Inqilab-e-Justjo Ka Ehtemam

Pad Gaein Parhan-e-Subah-e-Chaman Par Silwaten
Yaad Aa Kar Reh Gai Hai Be-Khudi Ki Ek Shaam

Teri Ismat Ho Keh Ho Mere Hunar Ki Chandni
Waqt Ke Bazar Mein Har Cheez Ke Lagty Hain Daam

Hum Banaengy Yahan "SAGHAR" Nai Tasweer-e-Shouq
Hum Takhayyul Ke Mujaddid Hum Tasawwur Ke Imaam


Poet:Saghar Siddiqui

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo