Chiragh-e-Toor Jalao Bada Andhera Hai Zara Naqaab Uthao Bada Andhera Hai



Chiragh-e-Toor Jalao Bada Andhera Hai
Zara Naqaab Uthao Bada Andhera Hai

Abhi Tou Subah Ke Mathe Ka Rang Kala Hai
Abhi Fareb Na Khaao Bada Andhera Hai

Woh Jin Ke Hote Hain Khursheed Aasteeno Mein
Unhein Kahein Se Bulao Bada Andhera Hai

Mujhe Tumhare Nigahon Pe Etimad Nahi
Mere Qareeb Na Aao Bada Andhera Hai

Faraz-e-Arsh Se Toota Hoa Koi Taara
Kahein Se Dhoond Ke Lao Bada Andhera Hai

Baseeraton Pe Ujalon Ka Khauf Taari Hai
Mujhe Yaqeen Delao Bada Andhera Hai

Jise Zubaan-e-Khirad Mein Sharaab Kehty Hain
Woh Raushni Si Pilao Bada Andhera Hai

Ba-Nam-e-Zohra-Jabeenan-e-Khitta-e-Firdaus
Kisi Kiran Ko Jagao Bada Andhera Hai


Poet:Saghar Siddiqui

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo