Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai


وہ حمدیہ کلام جس کی آواز اور کلام کو علامہ اقبال سے منسوب کیا جاتا ہے

Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai

 
شاعر :عتیق احمد جاذب

Poet:Ateeq Ahmad Jazib


Be-Jaan Sa Pathar Bhi Nahi Hai
Tu Koi Fareshta Ya Piamber Bhi Nahi Hai
Tu Ilam Ka Chima Ya Samandar Bhi Nahi Hai
Par Rab Ki Nigahon Mein Tu Kamtar Bhi Nahi Hai
Jo Kuch Bhi Hai Tu Apni Hadon Ko Pehchan
Rehman Ki Pakkad Se Tu Bahir Bhi Nahi Hai
Dunya Na Basa Dil Mein Keh Dunya Ki Haqeeqat
Machar Ke Kisi Par Ke Barabar Bhi Nahi Hai
Dekhiye Khuda Ko Kisi Ne Dekha Nahi Hai
Lekin Sari Dunya Khuda Ko Manti Hai
Ye Kis Tarah Ye Main Ne Is Asha'ar Mein Kaha Hai

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se
Soraj Ke Ujhalay Se Fizaoun Se Khala Se
Chand Aur Sitaron Ki Chamak Aur Zia Se
Jangal Ki Khamoshi Se Pahadon Ki Ana Se
Pur Hol Samandar Se Pur Israr Ghata Se
Bijli Ke Chamaknay Se Kadaknay Ki Sada Se
Mitti Ke Khazanon Se Anajon Se Ghiza Se
Toofan Se Pani Se Hawa Se
Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se
Gulshan Ki Baharon Se Tou Kaliyon Ki  Haya Se
Masoom See Roti Hoi Shabnam Ki Ada Se
Lehrati Hoi Bad e Sahar Bad e Saba Se
Har Rang Ke Har Shan Ke Phoolon Ke Khaba Se
Chidyun Ke Chehiknay Se Tou Bulbul Ki Nawa Se
Moti Ki Nazakat Se Tou Heere Ki Jera Se
Jhalaktay Hoe Fun Aur Kala Se
Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se
Dunya Ke Hawadis Se Jafaoun Se Wafa Se
Ranj o Gham o Aalaam Se Dardon Se Dawa Se
Khushion Se Tabassum Se Mareezon Ki Shafa Se
Bachon Ki Shararat Se Tou Maaoun Ki Dua Se
Neki Se Ibadaat Se Laghzish Se Khata Se
Khud Apne Hi Seenay Ke Dhadaknay Ki Sada Se
Raha Tera Dum Pe Baithi Hai Dala Se
Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se
Aur Aakhiri Band Hai
Iblees Ke Fitnon Se Tou ADAM Ki Khata Se
Aosaf e Baraheem Se Tou Yousaf Ki Haya Se
Aur Hazrat e Ayub Ki Tasleem o Raza Se
Esa Ki Maseehaai Se Mosa Ki Aasa Se
Namrood Ke Firon Ke Anjam e Fana Se
Ka'abe Ke Taqadus Se Tou Marwa o Safa Se
Touraat Se Injeel Se Quran Ki Sada Se
Yaseen Se Taaha Se Muzamil Se Naba Se
Yak Noor Jo Nikla Tha Kabhi HIRA Se
Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se

 

6 comments:

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo