Kaif_O_Kam Ko Dekh Kar Usay Be Kaif_O_Kam Kehne Lage




 

Poet Dard Dehlvi 

 

Kaif_O_Kam Ko Dekh Kar Usay Be Kaif_O_Kam Kehne Lage

Jab Hudoos Apna Khula Raaz_e_Qadam Kehny Lagy.

Ghair Kuch Kuch Kaan Main Hi Dum_Ba_Dum Kehny Lagy.

Wah Wa, Qismat Ki Mahjori Ko Dekha Chahiye.

Wo Huwa Be_Parda Tab Hum Usko Hum Kehny Lagy.

Aaqilo! Tum Baat Apni Bhi Samajhty Hi Nahin.

Hy Kisi Ka Wo Dahan Jisko Adam Kehny Lagy.

But Parasti Kufr Yaan Dil Ki Giriftari Hy DARD.

Chahny Jis Ko Lagy Usko Sanam Kehny Lage.

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo