Kia Soch K Aaye Thay Teri Bazm Mein Hum Aaj

 

Poet Wasif Ali Wasif 

 

Kia Soch K Aaye Thay Teri Bazm Mein Hum Aaj,

Kia Soch K Hum Loute Hain Ba Deeda-E-Nam Aaj,

Lo Wo Bhi Pasheman Howay Sitam Par,

Hasti K Fasane Ko Jo Anwan Mila Hai,

Peshani-E-Ahsas Pe Karna Hai Raqam Aaj,

Main Gardish-E-Doraan Ko Samjhta Hon Ghaneemat,

Ye Gardish-E-Doraan Bhi Kahein Jaye Na Tham Aaj,

Wo Sar Jo Sara Farazi-E-Milat K Ameen Thay,

Wo Sar Bhi Howay Sorat-E-Halaat Se Kham Aaj,

Mat Pooch Yaqeen Ho Gia Maghloob-E-Gumaan Kion,

Mat Yad Dila Apni Mohabb

at K Qasam Aaj,

Ek Sajda Ba Nam-E-Dil-E-Warfta Bhi,

WASIF

Darwaza-E-Maye Khana Bana Baab-E-Haram Aaj.............!

Page 159(S) 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo