Sar Garm-E-Naz Aap Ki Shan-E-Jafa Hai Kia

 

 

 

 

Poet Hasrat Mohani


Type bY

UJRRA_DIL


Sar Garm-E-Naz Aap Ki Shan-E-Jafa Hai Kia?


Baqi Sitam Ka Aur Abhi Hosla Hai Kaya ?


Aankhein Tairi Jo Hosh Rubai Mein Fard Hain,


Un Mein Ye Sehar-Kari Rang-E-Haya Hai Kaya ?


Gar Josh-E-Aarzoo Ki Hain Kaifytein Yahi,


Main Bhool Jaon Ga Keh Maira Mudaa Hai Kaya ?


Aaty Hain Wo Khayal Mein Kyoun Mairy Bar Bar ?


Ishq-E-KHUDA Numa Ki Yahi Ibtda Hai Kaya ?


Ik Barq-E-Muztrab Hai Keh Ik Sehar-E-By-Qarar,


Kuchh Pochiye Na Wo Nigah-E-Fitna Za Hai Kaya ?


Is Darja Dil Pazeer Hai Aahing-E-Naghma Kyoun ?


Pehnan Labas-E-Dard Mein Tairi Sada Hai Kaya.?


Chal Bhi Diye Wo Cheen K Sabr-O-Qarar-E-Dil,


Hum Pochty Hi Reh Gaye Ye Majra Hai Kaya ?


Nazdeek Bam-E-Yar Sy Hai Nardban-E-Ishq,


Ay Dil Ye Ja-E-Hosla Hai Daikhta Hai Kaya ?


HASRAT Jafa-E-Yar Ko Samjha Jo Too Wafa,


Aaeen-E-Ishtiyaq Mein Ye Bhi Rawa Hai Kaya...?

.

Kulyat-E-Hasrat

Page 73

Gzl Num 16

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo