Rulate Rulate Hansa Gia Eid Ka Chand

Bichra Howa Yar Mila Gia Eid Ka Chand

 

 

==============

Eid Collection-14

==============


Poet UMAR RAAHI


Type bY 

 

UJRRA_DIL



Rulate Rulate Hansa Gia Eid Ka Chaand,


Bichra Howa Yar Mila Gia Eid Ka Chand,


Raah Dekhte Dekhte Pathra Gai Jab Aankhein,


Us Musafir Ko Le Aaya Eid Ka Chaand,


Diya Zindagi Ka Tha Bujhne Wala,


Aab-E-Hayat Pila Gaya Eid Ka Chaand,


Bikhri Hui Thi Zulfain,

Sahra Ban Gai Aankhein,


Muasam-E-Bahaar Ka Sandesa Le Aaya Eid Ka Chaand,


Dil Ki Payasi Zameen Ho Gai Jal-Thal,


Badal Ban K Chha Gaya Eid Ka Chaand,


RAAHI Ne Manaai Eid Apne Yaar K Sang,


Dil K Dilbar Se Mila Gaya Eid Ka Chaand.........!

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo