Be-Sabab Udasi Hai Chashm Nam Bhi Piyaasi Hai Fiza Mein Khamsh Si Hai Ajab Be-Kaif Se Din Hain

بے سبب اداسی ہے
چشم نم بھی پیاسی ہے
فضا میں خامشی سی ہے
عجب بے کیف سے دن ہین
فضا یہ جھومتی آکر میرے لب چومتی کیوں ہے۔۔؟؟
کبھی اٹھکیلیاں کرتی میری زلفوں کو بکھرائے
پکڑ کہ ہاتھ یادوں کاوہ میرے سامنے لائے
میری آنکھوں میں اسکی آنکھ کی پتلی
تو روتی ہے
مگر۔۔۔۔۔۔۔ اٹھکیلیاں کرتی ہواؤ
اس کو چھیڑو ناں
کہ میں تو اپنی قسمت میں لکھی تقدیر میں گم ہوں
میں عہد رفتہ کے گذرے حسیں لمحوں میں زندہ ہوں۔۔!
مگر،،
اب کچھ دنوں سےعرشیّ کیسے حال میں گم ہوں۔۔؟؟
سحر ہے تیری یادوں کا
دسمبر کی نوازش ہے

Be-Sabab Udasi Hai

Chashm Nam Bhi Piyaasi Hai

Fiza Mein Khamsh Si Hai

Ajab Be-Kaif Se Din Hain

Fiza Ye Jhoomti Aa Kar Mere Lab Choomti Kion Hai??

Kabhi Athkelian Karti Meri Zulfon Ko Bikhrai

Pakarr Keh Haath Yaadon Ka Wo Mere Saamne Laaye

Meri Aankhon Mein Iski Aankh Ki Putli

To Roti Hai

Magar.....Athkeliyan Karti Hawaoo

Isko Chairro Na

Keh Main To Apni Qismat Mein Likhi Taqdeer Mein Gum Hon

Main Ahd-e-Rafta Ke Guzre Haseen Lamhoon Mein Zinda Hon

Magar...

Ab Kuch Dinon Se Arshi Kaise Haal Mein Gum Hon

Sahar Hai Teri Yaadon Ka

December Ki Nawazish Hai......!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo