Har Taraf Se Jhankta Hai Roo-E-Khana Mujhe, Mehfil-E-Hasti Hai Gia Aaina Mujhe,

Poet Naseer-O-Deen Naseer

Type By
*.__NOMI__.*

Har Taraf Se Jhankta Hai Roo-E-Khana Mujhe,

Mehfil-E-Hasti Hai Gia Aaina Mujhe,

Ek Qayamat Dhaye Ga Dunia Se Uth Jana Mera,

Yad Kar K Roein Gay Yaran-E-Maye Khana Mujhe,

Dil Milate Bhi Nahi Daman Churate Bhi Nahi,

Tum Ne Aakhir Kion Bana Rakha Hai Deewana Mujhe,

Ya Kamal-E-Qurab Ho Ya Inteha-E-Buad Ho,

Ya Nabhana Sath Ya Phir Bhool Hi Jana Mujhe,

Unglian Shab Zadgaan-E-Shehr Ki Uthne Lagein,

Mere Saqi De Zara Qandeel-E-Maye Khana Mujhe,

Too Hi Batla Is Ta'aluq Ko Bhala Kia Naam Don,

Sari Dunia Keh Rahi Hai Tera Deewana Mujhe,

Jis K Sanate Hon Meri Khamoshi Se Hum Kalam,

Kash Mil Jaye NASEER Ek Aisa Veerana Mujhe.............!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo