Kuch hijr ke mausam ne sataya nahi itna Kuch hum ne tera soag manaya nahi itna


کچھ ہجر کے موسم نے ستایا نہیں اتنا
کچھ ہم نے تیرا سوگ منایا نہیں اتنا
کچھ تیری جدائی کی اذیت بھی کڑی تھی
کچھ د ل نے بھی غم تیرا منایا نہیں اتنا
کیوں سب کی طرح بھیگ گئی ہیں تیری پلکیں
ہم نے تجھے حال سنایا نہیں اتنا
کچھ روز سے دل نے تیری راہیں نہیں دیکھیں
کیا بات ہے تو یاد بھی آیا نہیں اتنا
کیا جانیئے اس بے سر و سامانئی دل نے
پہلے تو کبھی ہم کو رلایا نہیں اتنا


Kuch hijr ke mausam ne sataya nahi itna

Kuch hum ne tera soag manaya nahi itna

Kuch teri juda'iy ki azziyat bhi kadi thi

Kuch dil ne bhi gham tera manaya nahi itna

Kyun sab ki tarah bheeg gayeen hain teri palken

Hum ne to tujhe haal sunaya nahi itna

Kuch roaz se dil ne teri rahen nahi dekheen

Kia bat hai tu yad bhi aya nahi itna

Kia janiye is be-sar o samaniye dil ne

Pehle to kabhi hm ko rulaya nahi itna


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo