Mere Qalam Par Rahi Nok Jis Ke Khanjar Ki, Suna Hai Us Ki Zuban Bhi Hoi Pathar Ki,


Poet Ahmad Faraz

Typ By

*.__Zulmi__.*

Mere Qalam Par Rahi Nok Jis Ke Khanjar Ki,

Suna Hai Us Ki Zuban Bhi Hoi Pathar Ki,

Rawan Hai Qulzam
-E-Khon Andron-E-Shehr Bhi Dekh,

Ke Khushnuma Tou Bahot Hai Fasil Bahar Ki,

Ujaarr Perr Gaye Mosama Ko Rotay Hain,

Har Aabajoo Ko Hos Pee Gai Samandar Ki,

Faqeeh-E-Shahr Jabeen Par Kalah-E-Zar Rakh,

Suna Raha Hai Hamein Aayatein Moqadar Ki,

Khud Apne Khon Mein Nahaye Hue Magar Chop Hain,

Ye Log Hain Ke Chhatanein Hain Surkh Pathar Ki,

Wo Aik Shakhs Ke Sooraj Ke Roop Mein Aaya,

Chora Ke Le Gaya Shamein FARAZ Har Ghar Ki.......!

Book, Nayaft

Page, 51


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo