Mujh se kaafir ko terey ishq ne yun sharmaaya Dil tujhe dekh ke dharrka to khuda yaad aaya

 

Ahmad Nadeem Qasmi (Urdu: احمد ندیم قاسمی ) 

born Ahmad Shah Awan(Urdu: احمد شاہ اعوان ) 

on 20 November 1916 – died 10 July 2006,

 was an Urdu and English language Pakistani poet,

 journalist, literary critic, dramatist and short story author

 


Poet:Ahmad Nadeem Qasmi

Mujh se kaafir ko terey ishq ne yun sharmaaya

 Dil tujhe dekh ke dharrka to khuda yaad aaya

Mere dil pe toh hai ab tak terey gham ka saaya

 Log kehtey hain naya daur naye dukh laaya

Meraa miyaar-e-vafaa hi meri majboori hai

 Rukh badal kar bhi tujhe apne muqaabil paaya

Chaarahgar aaj sitaaron ki qasam kha ke bataab

 Kis ne insaan ko tabassum ke liye tarrpaaya

Log hanstey hain toh iss soch mein kho jaata hun

 Mauj-e-sailaab ne phir kis ka gharaunda dhaaya

Uss ke andar koyi fankaar chupaa betha hai

 Jaantey boojhtey jis shakhs ne dhoka khaya

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo