Aansoo Hein Teri Yaad Hai Aur Khaam Yeh Aankhein Gar Deed Ki Ho Tishnagi Kis Kaam Yeh Aankhein


Aansoo Hein Teri Yaad Hai Aur Khaam Yeh Aankhein

Gar Deed Ki Ho Tishnagi Kis Kaam Yeh Aankhein

Har Shaam Ko Honay Lagi Hai Shehr Mein Baarish

Chham Chham Hein Teri Yaad Mein Har Shaam Yeh Aankhein

Mumkin Kahaan Thi Tujh Se Merey Yaar Judaayi

Ab Dhundhti Hein Mustaqil Aaraam Yeh Aankhein

 

آنسو ہیں تری یاد ہے اور خام یہ آنکھیں
گر دید کی ہو تشنگی کس کام یہ آنکھیں

ہر شام کو ہونے لگی ہے شہر میں بارش
چھم چھم ہیں تری یاد میں ہر شام یہ آنکھیں

ممکن کہاں تھی تجھ سے مرے یار جدائی
اب ڈھونڈتی ہیں مستقل آرام یہ آنکھیں


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo