Do Gharri Muyassar Ho Us Ka Humsafar Hona Phir Humain Gawaara Hai Apna Dar Badar Hona


Poetess:Parveen Shakir
Type By
*._.Murtaza._*
Do Gharri Muyassar Ho Us Ka Humsafar Hona
Phir Humain Gawaara Hai Apna Dar Badar Hona

Ik Azaab-e-Peeham Hai Aise Dour-e-Wehshat Mein
Zindagi Ke Chehre Par Apna Chasham-e-Tar Hona

Ab Toh Uss Ke Chehre Mein Be-Panah Chehre Hain
Kia Ajeeb Ne'amat Thi Warna Be-Khabar Hona

Har Nigaah Ka Pathar Aur Mere Baam-o-Dar
Sheher-E-Be-Faseelan Mein,Kia Sitam Hai,Ghar Hona,

Soch Ke Parendon Ko Ik Panah Daina Hai,
Dhoop Ki Hakoomat Mein Zehan Ka Shajar Hona,

Uss Ki Wasal Ki Saa'at Hum Pe Aa'ee Toh Jana,
Kis Gharri Ko Kehte Hain Khawaab Mein Bassar Hona...........!
Book Name
Khud Kalami
Page 65

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo