kisi ke door jane se Taluq toot jane se Kisi ke maan jaane se Kisi ke rooth jaane se Mujhe ab Darr nahin lagta

Poet:Mohsin Naqvi

Mujhe ab darr nahin lagta

kisi ke door jane se

Taluq toot jane se

Kisi ke maan jaane se

Kisi ke rooth jaane se

Mujhe ab Darr nahin lagta

Kisi ko aazmane se

Kisi ke aazmane se

Kisi ko yaad rakhne se

Kisi ko bhool jaane se

Mujhe ab darr nahin lagta

Kisi ko chorr dene se

Kisi ke chorr jaane se

Shamma ko jalaane se

Shamma ko bhujaane se

Mujhe ab darr nahin lagta

Akele muskuraane se

Kabhi ansuu bahaane se

Na iss saare zamaane se

Haqeeqat se fasaane se

Mujhe ab darr nahin lagta

Kisi ki naa-rsaayi se

Kisi ki paa-rsaayi se

Kisi ki bewafaayi se

Kisi dukh intehaayi se

Mujhe ab darr nahin lagta

Na to iss paar rehne se

Na to uss paar rehne se

Na apni zindgaani se

Na ik din maut aane se

Mujhe ab darr nahin lagta


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo