Taraash ke mere baazoo uraan chor gaya Hawa ke pass burahna kaman chor gaya


Taraash ke mere baazoo uraan chor gaya
Hawa ke pass burahna kaman chor gaya

 Rafaqaton ka meri usko dhyan kitna tha
Zameen leli , magar aasman chor gaya

Ajeeb shakhs tha barish ka rang dekh ke bhi
Khule dareeche pe ik phool daan chorh gaya

Jo baadlon se bhi mujh ko chupaye rakhta tha
Barhi hai dhoop tou be-sayeban chor gaya

Nikal gaya kahien andekhe panion ki taraf
Zameen ke naam khula baadban chor gaya

Uqaab ko thi garz faakhta pakarne se
Jo girr gayi tou yunhi neem jaan chor gaya

Najane konsa aaseb dil mein basta hai
Ke jo bhi thehra woh makan chor gaya

Aqab mein gehra samnder ha, saamnay jungle
Kiss inteha pe mera meherban chor gaya

Parveen Shakir


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo