Aik Ajeeb Suhana Khawab Aur Yad Piya Ki Muasam Peela Zard Kharab Aur Yad Piya Ki (Poet Farhat Abbas Shah)


شاعر فرحت عباس شاہ


بک مت بول پیا کے لہجے میں

صفحہ 41 42

انتخاب

عروسہ ایمان

ایک عجیب سہانا خواب اور یاد پیا کی

موسم پیلا زرد خراب اور یاد پیا کی

رات نے ایک عجیب اداسی کے سر چھیڑے

درد سمندر اور تمہارے ہجر کے بیڑے

لیکر آۓ مال عذاب اور یاد پیا کی

ہم نے دل کے ہاتھوں جتنے زخم اٹھاۓ

اندر ہی محصور رہے باہر نا آۓ

باہر آۓ فقط گلاب اور یاد پیا کی

ہم نے جس کی خاطر آنکھیں گروی رکھی

روح جلائی اور پھر سوچیں گروی رکھی

بخش گیا ہمیں سراب اور یاد پیا کی


Poet Farhat Abbas Shah
Aik Ajeeb Suhana Khawab Aur Yad Piya Ki

Muasam Peela Zard Kharab Aur Yad Piya Ki

Raat Ne Aik Ajeeb Udasi K Sur Cherre

Dard Samndar Aur Tumhare Hijar K Berre

Lekar Aaye Mal Azab Aur Yaad Piya Ki

Hum Ne Dil K Hathoon Jitne Zakham Uthaye

Andar Hi Mehsoor Rahe Bahir Na Aaye

Bahir Aaye Faqt Gulab Aur Yaad Piya Ki

Hum Ne Jis Ki Khatir Aankhein Girvi Rakhi

Rooh Jalai Aur Phir Sochein Girvi Rakhi

Bakhash Gaya Hamein Sarab Aur Yaad Piya Ki


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo