Ik Na Ik Roz To Rukhsat Karta Mujh Se Kitni Hi Mohabbat Karta


شاعرہ پروین شاکر
بک خود کلامی
صفحہ 27
انتخاب
‫‏عروسہ ایمان‬
اک نہ اک روز رخصت کرتا
مجھ سے کتنی ہی محبت کرتا
.
سب رتیں آکے چلی جاتی ہیں
موسمء غم بھی تو ہجرت کرتا
.
بھیڑیے مجھ کو کہاں پاسکتے
وہ اگر میری حفاظت کرتا
.
میرے لہجے میں غرور آیا تھا
اس کو حق تھا شکایت کرتا
.
کچھ تو تھی میری خطا ورنہ وہ کیوں
اس طرح ترک رفاقت کرتا
.
اور اس سے نہ رہی کوئی طلب
بن میرے پیار کی عزت کرتا

Poetess Parveen Shakir
Ik Na Ik Roz To Rukhsat Karta
Mujh Se Kitni Hi Mohabbat Karta
Sub Rutein Aa K Chali Jati Hain
Muasam-E-Gham Bhi To Hijrat Karta
Bherriye Mujh Ko Kahan Pa Sakte
Wo Agar Meri Hifaazt Karta
Mere Lehje Mein Gharoor Aaya Tha
Us Ko Haq Tha K Shikaayat Karta
Kuch To Thi Mere Khata Warna Wo Kion
Is Tarah Tarak Rafaaqat Karta
Aur Us Se Na Rahi Koi Talab
Bas Mere Pyar Ki Izzat Karta..............................*

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo