Wafa mein ab ye hunar ikhtiyaar karna hai Woh sach kahe na kahe aitbaar karna hai


Wafa mein ab ye hunar ikhtiyaar karna hai
Woh sach kahe na kahe aitbaar karna hai

Ye tujh ko jaagte rehne ka shouq kab se hua
Mujhe to khair tera intezaar karna hai

Hawa ke zadd mein jalaane hain ansuon ke chiraagh
Kabhi ye jashn sar-e- raah guzaar karna hai

Woh muskura ke naye waswason mein daal gaya
Khyaal tha ki usey sharamsaar karna hai

Misaal-e shaakh-e barhana khizan ke rutt mein kabhi
Khud apne jism ko be’barg-o baar karna hai

Tere firaaq mein din kis tarha katte apne
K shughal-e shab to, sitaare shumaar karna hai

Chalo ye ashk hi moti samajh ke bech aayein
Kisi tarah to humein rozgaar karna hai

Kabhi to dil mein chhupe zakhm bhi numayan hon
Qaba samajh ke badan taar taar karna hai

Khuda khabar ye koi zidd k shouq hai mohsin
Khud apni jaan ke dushman se pyaar karna hai

Mohsin Naqvi


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo